Bankissa (Hindi Edition)
Stories of Kingfisher
Failed to add items
Add to basket failed.
Add to wishlist failed.
Remove from wishlist failed.
Adding to library failed
Follow podcast failed
Unfollow podcast failed
£0.99/mo for first 3 months
Buy Now for £14.99
No valid payment method on file.
We are sorry. We are not allowed to sell this product with the selected payment method
-
Narrated by:
-
Neeraj Yadav
About this listen
Maanav ki aadatein, uski kamzoriyo aur shaktiyo ko ban mei rehne-wale praniyo ke kisso ke maadhyam se batane-wali ek romanchak kitab hai yeh. Lekhak Sunil Kumar ‘Syncretic’ ne machchharaja ki juban se aisi kai kahaniyan sunayi jinme se kuchh agar aapke dil ko chhu lengi toh kuchh dil ko kachont lengi. Har kissa ka apna ek alag mizaaj hai aur har kisse ke andar ek alag hi kissa hai. Inn kisso ko padhte-padhte kabhi apko lagega ki kash hum janwar hote, toh kabhi ehsaas hoga ki hum janwar hi toh hai. Yahi nahi ekaadh aise bhi kisse hai jaise ki ‘Zombie’, jo aapko yeh aabhaas karayega ki hum to janwaro se bhi badtar hai aur swarth hi hamara sabse bada dharm hain.
Iss kitab mei aapko milenge kisse, behad rochak kisse, jo uss soch jisne hume maanav bana diya se lekar uss shadyantra tak ka jisne hume bhagwan banne se rok diya. Kissa bachche janne-wale naro ka, dayalu zombiyo ka, mulyaheen doglo ka. Kissa shaktiviheen adhikaaro ka, abhishaapyukt taakat ka. Kissa bandhkar mukti paane-wale jeevan ka, kissa iklauti pehchaan dene-wali maran ka. Kissa manushyata se achhi pashuta ka aur prajatantra se shreshtha arajakta ka.
Lekhak Sunil Kumar ‘Syncretic’ ke mann mei shuru se ek vishwas ghar kar gaya hai ki log abhiruchi ki cheezo ke sath judna chahte hai. Isiliye ruchikaar hi likhte hai. Unka kehna hai ki, ‘Mera likha achha ya bura ho sakta hai, lekin ubaoo nahi.’
Please note: This audiobook is in Hindi.
©2019 Sunil Kumar Syncratic 2019 (P)2020 Audible, Inc.